.::Poetry Corner::. [page-1]
Khulla hai dil ka darwaza tere intzaar main,
Ab darr lag raha hai loog isse rasta na bana lain..
BY [ ATIQ CAPRI ]
0333-5488559
..........................................................................................
Anjaan the kyun ajaan bane
Khamosh zubaan se kuch kehne lage
Soye armano ko jagake dil mein
Muskura rahe ho khud anjaan bane
............................................................................................
Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke
Ab to bas dhadkano ka lihaz karte hain
Kya kahein duniya waalo ko jo
Aakhri saans par bhi aitraaz karte hain
...........................................................................................
Dil me itni bekarari na thi..
Zindagi itni pyari na thi..
Zindagi zindagi lagti na thi..
Jab tak aapse mulaqat na thi.
..........................................................................................
Ek pal ehsaas ban key aate ho,
Aur doosre pal khwaab ban ke udd jaatey ho,
Yeh maloom hai ki tanhai sey darr hai humey,
Phir bhi baar baar tanha chod jaatey ho...
...........................................................................................
Haqeeqat na pooch mere fasane ki
Tere jaate hi badal gayi nazar zamane ki
Log poochte hai ki my khush kyon nahi
Kya kahoon aadat thi tere sang muskurane ki ..
...........................................................................................
Hum agar mil nahi paate,
Aisa nahi ki aap yaad nahi aate.
Maana jahaan ke sab rishte nibhaye
nahi jate Par jo bas jate hai iss
dil mein woh bhulaye nahi jate. .
...........................................................................................
Hum tumhara intezaar karte hi reh gaye,
Tumhari judaai ko sehte hi reh gaye,
Dil thamne ki koshish ki magar ,
Ye kambakht aansu behte hi reh gaye ...
...........................................................................................
Humara harr lamha churaa liya aap ney,
Aankhon koh ek chaand dikha diya aap ney,
Humey zindagii toh dii kissi aur ney,
Par itna de kar jeena sikha diya aap ney.
>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<<<<<<< |