Allah'sNames
Nabi'sNames
Indian Movie Songs
PakiSongs
Pak Radio
Live Cricket
Indian Radio
Naat Paak
Guest Book
Urdu Poetry
Download Java
Free Softwares
Live Chat
Contact Us
.:: ModerNislamabad Forum::. Twin Cities Online Community < Join Now >

   
 
  *Poetry competition

Please Send ur own poetry on our web site...PLEASE VOTE THE POETRY FROM GIVEN BELOW WHO'S THE BEST POETRY IN OUR SITE POETRY COMPETITION !!! Send Ur Votes On Geo_Tv_Designers@Yahoo.Com......


For Vote The Best Poetry CLICK HERE !




Name:
Homepage:
Your message:

  I AGREE !

<- Back  1  2  3  4  5  6  7  8  9 Continue -> 
Name:miss_baatuni
Homepage:-
Time:07/15/2007 at 10:59am (UTC)
Message:Kabhi Nazar Se Gira Diya
Kabhi Dil Main Basa Diya
Muhabbat Main Tum ne Humein
Kabhi Hassa To Kabhi Rola Diya
Kabhi Pyaar _Be Shumar Kiya
Kabhi Dard Be Inteha Diya
Apni Diwangi Main Tum ne Humhein
Kis Makaam Par Puocha Diya
Kabhi Musaan Me Bhar Se Mila Diya
Kabhi Sehra Main Tanha Kar Diya
Dil Ko Khilona Samajh Kar Tum Ne
Humein Har Khell Main haara Diya
Kabhi Umeedo Ko Barha Diya
Kabhi Mayousiyo Ne Jena Duswaar Kiya
Phir Bhi Humdum Hum ne Tumhein
Pyaar Ki Had Se Zeyada pyaar Kiya

Name:Atiq Jan
Homepage:-
Time:07/15/2007 at 6:27am (UTC)
Message:Kisi kumzoor lumhay mey
Ager mein tum se ye keh doon

Mujhe tum se mohabbat hai
Tum ye mat samajh lena

Mein ne such kaha ho ga
Aisi dilnasheen baatoon ko

Aisay dilbar peraye mey kehna
Mujhe buchpan se aata hai

Meri aankhein mera chehra
Mera ye besakhta lehja

Ye sab kuch jhoot kehta hai mager
Is jhoot mey aik such bhi hai

keh

Mujhe tum se mohabbat hai

Name:Atiq Jan
Homepage:-
Time:07/15/2007 at 6:18am (UTC)
Message:KAHIN BAY KINAAAR SE RAT JAGAY
KAHIN ZAR NIGAAR SE KHUAB DE
TERA KYA USOOOL HAI ZINDAGI
MUJHE KOUN ISKA JAWAB DE

KABI YOUN B HO TERE ROO BARO
MAIN NAZAR MILA K YE KEH SAKON
MERI HASRATOUN KA SHUMAAR KAR
MERI KHUAHISHOUN KA HISAB DE!!

Name:Atiq JAn
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 12:25pm (UTC)
Message:vo chaaNdanii kaa badan Khushbuuon kaa saayaa hai
bahut aziz hamen hai magar paraayaa hai

utar bhii aao kabhii aasamaaN ke ziine se
tumhen Khudaa ne hamaare liye banaayaa hai

mahak rahii hai zamiin chaaNdanii ke phuulon se
Khudaa kisii kii muhabbat pe muskuraayaa hai

use kisii kii muhabbat kaa aitabaar nahiin
use zamaane ne shaayad bahut sataayaa hai

Name:miss baatuni
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 12:00pm (UTC)
Message:aaj phir din kay ujaalay say dar gaya koyi
goya sooraj pay hi ilzaam dhar gaya koyi

ab na hasrat hai koyi na hi aarzu ki chubhan
dil pay jaisay yeh aihsaan kar gaya koyi

na to aahat hai koyi, na hi darichay pay sadaa
aisa lagta hai ke bay-maut mar gaya koyi

ab na mehkega yahaN koyi muhabbat ka shajar
is qadr zehar havaaoN meiN bhar gaya koyi

aaj kal shehar meiN ayinoN pay paabaNdi hai
aks apnay say, sunaa hai, ke dar gaya koyi

Name:miss baatuni
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 11:55am (UTC)
Message:Aaj Fir tere Shahar MeiN Jo aana Hua
Tumhe yaad karne ka jaise Bahaana Hua

Khulta raha har wo Jharokhaa aap hi
Jise band kiye tha zamaana hua

aaj fir kadam Thhahar se Gaye
chala jo zikr tera puraana Hua

VeeraanoN se baj Uthhi shahanaaiyaaN
meri YaadoN mein jo aapka Muskuraana hua

baandh Liya jab se aanchal daaman se tere
fir kahiN bhi naa mera jaana hua

Khul Gayi Giraft koi , koi bandhi
apne hi dil ki bahas mein jeet dil ki hui
aur apna haar jaana hua

Name:miss batuni
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 11:46am (UTC)
Message:Kabhi "TUM" Nahin, Kabhi "HUM" Nahin
Pyaar ke liyey Chaar pal kum nahin thay
Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay
Pyaar ke haseen kab yeh mausm nahin thay...
Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay
Yeh Din barson ke baad aaya...
Kuch tumhein , Kuch humein yaad aaya
Kasak phir yeh Dil mein uthi hai
honton pe baat aa ke ruki hai
Kabhi itney"Majboor" tou Hum nahin thay
Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay
Agar Tum yeh Dil maang letey
jaan-e-mun, hum tumhein jaan detey
Tumhein kaisey Hum bhool jaatey
mur ke bhi hum tumhein yaad aatey
Tumhein hai pata, "Be-wafa" hum nahin thay
Kabhi "Tum" nahin thay, kabhi "Hum" nahin thay

Name:miss batuni
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 11:34am (UTC)
Message:Har pal tujhe khwabo me dekha,
Ab haqeeqat me pane ki chahat hai.
Paas aakar tumhari,
Kuch lamhe churaane ki chahat hai.

Laga ke apne seene se tumhe,
Yeh zindagi jeene ki chahat hai.
Lekar tumhe apni bahoon me,
Yeh jahan badalne ki chahat hai.

Na jaane kitne aansu bahe tere intezaar me,
Par ab tere sang muskuraane ki chahat hai.
Apni har ek khushi tere naam kar,
Tere saare ghum apnane ki chahat hai.

Chup-chup ke tujhe dekha to bahut maine,
Ab teri nazro se nazar milane ki chahat hai.
Tum to bas chuke ho is dil me,
Par ab tere dil me dhadakne ki chahat hai.

Mitakar fasle sabhi,
Dil se dil milane ki chahat hai.
Bahut kuch keh gaya yeh dil mera,
Bus ab kuch tumse sunne ki chahat hai.

Name:miss batuni
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 11:29am (UTC)
Message:apni kami pe rone lage teri berokhi se
zinda bhala thy kab ham phir roye kiu zindaghi se

milti thi teri hasrat aaj hame baar baar
khty thy jaa tu door ab bezaar hai wo hami se

paas jane ke wasty aaye thy door ka safer kaat ke
milne se hi phele paighaam mila unhe milna nahi kisi se

zindaghi teri haqeeqat ka dard hai kitna kadwa
bhaagna chaahe pfir bhi na bhaag sake ham es bebasi se

Ayina bhi hamko phechaan na saka
choop gaaye thy ab ham tu khod hi se

Name:miss batuni
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 11:19am (UTC)
Message:Achay nahi ho keh ker, yun na mujhay thukrao!
Koshish ka ek mauka do, phir mujhay aazmao!
Paa saki us manzil ko, tab mujhay apna lena tum!
Na paa saki apni manzil, toh beshaq thukra dena!
Na shikwa karungi koi, na koi shikaayat hogi!
Phir bhi kahin is dil mein, teri mohobbat hogi!
Kuchh paaker hi zindagi mein, tujhay panay ki ummeed rakhungi!
Na paa saki tujhay phir bhi, teri dosti ki kadar karungi!
Ek arsaa laga hai mujhko, is raah per chal panay ko!
Asaan nahi kadam hatana, mujhay chaltay hi janay do!
Arzu dil mein jo jagi thi, woh ummeed ban chuki hai!
Aitraaz na karo tum yaar mere, mujhay is koshish per mit janay do!

 
>> Advertisement Here<<
 
>> Advertisement Here<<
 
 
.:: ModerNislamabad Forum::. Twin Cities Online Community < Join Now >

Literature News politics Articles MAVERICK PAKISTANIS

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free