Allah'sNames
Nabi'sNames
Indian Movie Songs
PakiSongs
Pak Radio
Live Cricket
Indian Radio
Naat Paak
Guest Book
Urdu Poetry
Download Java
Free Softwares
Live Chat
Contact Us
.:: ModerNislamabad Forum::. Twin Cities Online Community < Join Now >

  *Poetry competition

Please Send ur own poetry on our web site...PLEASE VOTE THE POETRY FROM GIVEN BELOW WHO'S THE BEST POETRY IN OUR SITE POETRY COMPETITION !!! Send Ur Votes On Geo_Tv_Designers@Yahoo.Com......

For Vote The Best Poetry CLICK HERE !

Name:
Homepage:
Your message:

  I AGREE !

<- Back  1  2  3  4  5  6  7  8  9 Continue -> 
Name:Atiq Jan
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 11:12am (UTC)
Message:"mere saath tum bhii duaa karo yuN kisii ke haq main buraa na ho
kahiin aur ho na ye haadasaa koii raaste main judaa na ho

vo farishte aap hii DhuuNdhain kahaaniyon kii kitaab main
jo buraa kahen na buraa sune koi shaKhs un se Khafaa na ho

vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaaG ban ke jalaa na ho

mujhe yuuN lagaa ki Khaamosh Khushbuu ke hoNTh titalii ne chhuu liye
i.nhii.n zard patton kii oT main koi phuul soyaa huaa na ho

isii ehatiyaat men main rahaa, isii ehatiyaat main vo rahaa
vo kahaaN kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho kia

Name:Atiq Jan
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 10:49am (UTC)
Message:"yuuN hi besabab na phiraa karo, koi shaam ghar bhii rahaa karo
vo Gazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake paDaa karo

koi haath bhii na milaayegaa, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj kaa shahar hai, zaraa faasale se milaa karo

abhii raah me.n kai mo.D hain, koi aayegaa koi jaayegaa
tumhen jisane dil se bhulaa diyaa use bhuulane kii duaa karo

mujhe ishtahaar sii lagatii hain, ye mohabbato.n kii kahaaniyaaN
jo kahaa nahin vo sunaa karo, jo sunaa nahiin vo kahaa karo

kabhii husn-e-pardaanashii.n bhii ho zaraa aashiqaanaa libaas main
jo main ban-saNvar ke kahin chaluuN, mere saath tum bhii chalaa karo

ye Khizaa kii zard-sii shaam main, jo udaas peD ke paas hai
ye tumhaare ghar kii bahaar hai, ise aa.nsuo.n se haraa karo

nahii.n behijaab vo chaaNd saa ki nazar kaa koi asar nahiin
use tanii garmi-e-shauq se baDii der tak na takaa karo

Name:-
Homepage:-
Time:07/14/2007 at 10:48am (UTC)

Time:07/14/2007 at 9:30am (UTC)
Message:Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain...

Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain...

Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain...

I baar nigahon mein aakar
Phir saari umar rulate hain...

Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain...

Name:Aarzoo
Homepage:-
Time:07/10/2007 at 12:45pm (UTC)
Message:Main apna aaj apna kal tumhare naam karta hoon
Main is jeewan ka her ek pal tumhare naam karta hoon

Tumhare dukh,uddasi, ghum sabhi ranjo alam leker
Main apni her khushi tumhare naam karta hoon

Tumhare bin her ek pal mujhe bechain rakhta hai
Main apna Dil jo hai behaal tumhare naam karta hoon

barasta bheegta mausam hai kamzori meri lekin
Mai ye saawan ghata badal tumhare naam karta hoon

Name:Aarzoo
Homepage:-
Time:07/10/2007 at 12:44pm (UTC)
Message:

phir aj kio ghazal terey nam na ho jye aj kahin likhte likhte sub na ho jaye kar raha hun intizar teri izhar _e_ muhabat ka is intizar mein zandagi tmam na ho jaye nahi leta tera nam sar _e_ aam is dar se kahin nam tere badnam no ho jaye manght hun due jab b to yad ati hai k judai meray pyar ka anjam na ho jaye sochta unn darta hun aksar tenhai mein is k dil mein kisi or ka maqam na ho jaya

Name:Maham
Homepage:-
Time:07/10/2007 at 12:39pm (UTC)

Time:07/10/2007 at 12:32pm (UTC)
Message:Jo khushi tumhare qareeb ho

Woh sada tumhara naseeb ho

Tujhe woh khalos mile k jo

Teri zindagi pe muheet ho

Jo mayar tujh ko pasand ho

Woh tumare dil ki umang ho

Teri zindagi jo talaab kere

Tere humsafar ka woh rung ho

Jo khayal dil me aseer ho

Aur dua me bhi taseer ho

Tere hath uthte hi khuda kere

Tere samnee tabeer ho

Tujhe wo jahan milee jidhr

Ghumo ka guzar na ho

Jidhr roshni ho khalos ki

Aur nafraton ko khabar na ho

Name:Atiq Jan
Homepage:-
Time:07/04/2007 at 1:28pm (UTC)
Message:Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.

Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?

Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.
Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum.

Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?

Name:Atiq Jan
Homepage:-
Time:07/04/2007 at 1:17pm (UTC)
Message:
Dur rehke humse kaise reh paoge
Dil dhukhega tumhara, hamme bhi rulaoge
dekho aise na rulao
kuch karo ilaaj iss dard ka
kehte ko aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka

Kehte hain duriyan nazdikiyan banke aati hain
Kya ye duriyan nazdikiyan banke aayengi
kya ye hamme aur paas le aayengi
ya ye duriyan, duriyan hi ban jayengi
dekho aise na satao
pyar ho tum mere
pyar nahi tho yaari ki hi khatir
karo kuch ilaaj iss dard ka
kehte ho aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka

Shayad ye sirf mera ek brahm hai
Dur rehne se dilon ki duriyan nahi banengi
mujhe apne pyar pe pura wishwaas hai
par iss dard ka kya karoon
jo iss duri ke saath aata hai
tumhe apne samne na dekh ke
mera dil dhadak sa jata hai
nahi nahi karo kuch tho ilaaj iss duri ka
kehte ho aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka
kuch tho karo insaaf iss dil ka!

>> Advertisement Here<<
 
>> Advertisement Here<<
 
.:: ModerNislamabad Forum::. Twin Cities Online Community < Join Now >

Literature News politics Articles MAVERICK PAKISTANIS

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free